Goongi ho gai aaj zuban kuch kehtay kehtay
Hich-kicha gaya mein khud ko musalman kehtay kehtay
Ye baat nahi kay mujh ko Us per yaqeen nahi
Bas dar gaya khud ko sahib-e-emaan kehtay kehtay
Tofeeq na hui mujhay ek waqt ki namaz ki
Aur chup huwa moazzin azaan kehtay kehtay
Kisi kafir ne jo poocha kay ye kiya hey maheena
Sharam se paani huwa mein Ramzan kehtay kehtay
Meray shelf mein gard se utti Kitaab ka jo poocha
Mein garrh gaya zameen mein Quran kehtay kehtay
Ye sun ker chup saadh li Iqbal phir us ne
Youn laga jesay ruk gaya ho mujhay heywaan kehtay kehtay
Labels: Allama Iqbal